Monday, October 3, 2022

How to apply Ehsaas Eashan Program Online | Urdu tutorial

 How to apply Ehsaas Eashan Program Online | Urdu tutorial



Jesa ke apko pta hoga imran khan ki gov mein ai punjab mein jis mein CM choudry pervaiz elahi hai to imran khan ne kaha tha k hum tamam ehsaas program ko phir se shuru krengy aur kafi time se intzar bhi tha ke ehsaas program phir se kb shuru hoga to aj uska elaan kr dia gaya hai punjab gov ki traf se ehsaas rashan program ka 

Ehsaas rashan program mein 80 lakh gharano ko shamil kia jayega aur 100 arab ka budget dia gaya hai punjab hakoomat ki traf se ehsaas rashan ke liye 

Jo pehlay ehsaas rashan program mein register thay un tamam logon ko ehl ker diya jayega mgr unko bhi ek baar phir registration krna hogi 

How to register

Ehsaas rashan program mein registration ke liye 3 tariqa kar mutarif krwaye gaye hein jin se ap khud ko registration krwa skty hein asani se Aj sania nishter ki traf se b tweet kia gaya jis mein unoh ne btaya k wo rashan program ka iftatah ker rahy hein rashan program mein registration ke liye ye 3 tariqa kar hein 

1. Sma to code


2 online registration


3 QR code scane 

1. Sms code jin ke paas Android mobile nhi hai ya internet ki sahoolat nhi hai to wo sms ke zariye asani se khud ko registration krwa skty hein bus ap ne ek sma krna hota hai kisi b mobile se sma kren massage mein ja ker apna ya apnay ghar k sarbarah ka ID card number likhen aur sms send kren 8123 per aur ba asani registration krwa len apni 

2 Online registration ke liye apko in ke webportal per jana hoga aur webportal per khud ko registration krwana hoga webportal per ja ker apna id card aur phone number darj kren aur registration krwa len 




Jab ap online registration here per click krengy to ap ke samnay kuch is tran se form khul kr ayega yahan ap tasweer mein dekh skty hein ke uper ap ne apna id card dyna hai aur neechay apna phone number dena hai aur register kren pr click ker dena hai aur register ho jana hai 

3 Qr code ye ek aisa tool hai jis se ap scane ker ke bhi khud ko registration krwa skty hein neechay apko QR code dia gaya hai ap usko apnay mobile k kisi b scaner app se scane kr k register krwa skty hein 


Registration ke baad apko in ashiya per 40% tak discount milega jis mein Ata dalen Aur oil shamil hai jo ap register shop se 40% sasti khareed skty hein ye ghareeb awam k liye bahot bara relief hai kiyu k jitni mehngai hai to ghareeb awam is se faida utha skti hai 


Sania nishter tweet here 

‏پنجاب کابینہ نے100ارب روپے کے احساس راشن رعایت پروگرام کی منظوری دےدی ہے! 80لاکھ گھرانے مستفید ہونگے اور آٹے، دال،گھی یا پکانے کے تیل پر40فیصد تک رعایت ہوگی۔آج سے رجسٹریشن کا آغاز ہوگیا ہے۔جو گھرانےاس پروگرام سے مستفید ہونا چاہتےہیں اس کیو آر کوڈ کو سکین کر کےرجسٹریشن کروائیں۔1/2 
‏کریانہ دکاندار اس کیو آر کوڈ کو سکین کر کے رجسٹریشن کروائیں۔ جو دکاندار پہلے سے پروگرام میں شامل تھے ان کو دوبارہ رجسٹریشن کی ضرورت نہیں ہے۔ دکانداروں کو ہر سبسڈی سیل پر8فیصد کمیشن اور ہر سہ ماہی میں قرعہ اندازی کے ذریعے قیمتی انعامات دیئے جائیں گے۔ 2/2 


Ismein dukandar bhi khud ko registration krwa skty hein qr code se aur un ke liye bahot se packge rakhay gaye hein 


Mazeed tafeel ap is pics mein b dekh sakty hein jo chair person sania nishter ki traf se social account Twitter per share ki gayi hai 


No comments:

Post a Comment

Please do not comment spam links