Saturday, May 9, 2020

How can i get adsenese approval fast 2020 urdu/hindi


In dino log kahtay hein adsensne ka aproval Mushkil Hai Aur Main Kahta Hun Ki ine Dinon Pahle Se Bhi Zyada Aasan hai approval Lena Kyunki is Waqt sari team ISI kam mein aap Logon ki Rahane Ke Liye Hi Baithi hoti hai aur unko koi bhi Kam Nahin Hai unke Jo Jaruri Bahar Ke kam the vah bhi Ab Yahan time dene mein mashruf hain

Adsense Approval 

Adsense ka aproval lynay ke liye apko in 3 chizon ko follow krna zaruri hai 

  1. Paste code
  2. Reachable site
  3. Policy complaint
Agr in 3 cheezon ko ap follow kren gay to apko approval milnay ke chance bahot ziada hein

1.paste code? 

Jab ap adsenese ke liye apply kro to iske liye apko code ka lazmi istmal krna hai jab ap adsenese per apni site ko daltay ho to Adsense apko ek code dyta hai jo ap ne apne head tag mein lgana hota hai ye ek HTML code hota hai 
Mgr is chhez ka bhi khas khayal rkhen ke ap ne apni site ko search console mein lazmi lgana hai us ke baad adsenese ko apply krna hai

2.reachable site

Yad rahay jab ap adsenese ko apna website ka URL do to use bar bar dekho koi ghalti na ho url theak ho ta ke jad adsenese ki team ap ke url per click kray to ap ki website per redirect hojaye aur apki website per kisi kisam ka pasword na ho jis se aysa na ho ke adsenese apki site ka access na ly sky to pasword koi bhi nhi lgana apni site ya kisi bhi Articles ya page per 

3.policy complaint

Adsense Apki website per check krega ke ap ne koi policy violations to nhi ki sub se bari jo violations check krta hai adsensne Wo ye 3 violations hein jinko ap ne made nazar rkhna hai

1. Low velue contant    2. Replicated contant 3. Deceptive site navigation 


1. Low velue contant

Agr ap ne adsensne ki koi violations ki hai low velue contant dala hai mtlb apni traf se bus jesa aya wese dal dia uski koi customiz nhi ki bus likh kr chhor dia to aisa nhi krna apna Article achhay likhna hai aur thori us per mehnat krni hai hai ta ke koi ghalti na ho 

2. Replicated contant

Kisi aur ka contant apni website per nhi dalna humesha apna 100% unique contant dalana h jo copyright na ho kisi aur ka Article istmal nhi krna 


3. Deceptive site navigation 

Adsense ap ke tamam pages Article label ka jaiza lega kahin bhi thori bhi ghalti nhi krni jis cheez ko jahan ana chahiye wahan rkhna hai apni marzi se nhi rkhna Page mein kahin bhi ap ne koi ghalti ki ya kisi aur ke istmal kiye to Adsense apko pkar lyga pages lazmi dalnay hein ye apki site ka dil hein jab tak dil dharkta hai insan zinda rahta hai


Umeed krunga apko sub achhay se Smj agaya hoga mazeed ap humaray channel ka visit kren 

Trixs Master ss

No comments:

Post a Comment

Please do not comment spam links